IPhone 8 & 8 Plus : Specs, Review, Features & Price.


Apple ki taraf se kal (12 September 2017) IPhone 8 aur IPhone 8 plus launched ho gaya hain. Jaisi ummid thi ke IPhone ki 10th anversery pe Apple Iphone 8 me kuch khas karega to aisa kuch nhi huaa, but Apple ne Iphone ka ek new model launched kiya "IPhone X" ke naam se. Jo ki ek bahot hi behtareen aur damdaar phone hai abi tak ke sabhi smartphones me.

Samajh lo ki Iphone 8, iPhone 7S hi hai, bas kuch improvements huyi hai isme. Jaise ki new glass design, improved display, updated camera and more powerful processor. ( Yani ke thoda bahot improvements kar ke iPhone 7 ko hi iPhone 8 ka naam de deya.)

Availability & price


IPhone 8 & 8 plus September 22 se milna shuru hoga aur pre order karne k liye apple.com pe September 15 ko jaa ke kar sakte hai.

Device 64GB 256GB
iPhone 8
$699
$849
iPhone 8 Plus
$799
Unknown

Design

Jaisa Apple ne kaha ki iPhone 8 ke back aur front side me glass hai. Isme side frame me aerospace-grade aluminum laga hai. Apple ne ye bhi kaha hai ki iPhone 8 me laga glass bahot hi jada durable hai. Saath hi ye phone water aur dust resistant bhi hai. Jo ki 3 color me milega Silver, Space Gray aur Gold.

Stereo speaker hone se iPhone 7 ke mukable ye 25% jada louder hoga.

Display


IPhone 8 aur 8 plus dono me hi Retina HD Display hai. Jiska size iPhone 8 me 4.7 inch aur 8 plus me 5.5 inch hai. Dono hi device me 3D touch milega.

Display me true tone technology use ki gayi hai, jiska matlab display ke aas paas ki lighting ke hisab se badlega taaki aap ko ek behtar viewing experience mile.

Performance



IPhone 8 aur 8 plus me Apple ki A11 bionic chipset lagi hai, jisme 6 core hai. Jo ki pichle chipset A10 se 20% se 70% jada fast hai. (A10 iphone 7 me use hua tha)

A11 bionic chipset ke GPU ko khud Apple ne hi design kiya hai, aur ye bhi 70% jada fast hai pichle chipset ke mukable. Yani ke fast aur smooth gaming aur app experience.

Camera


Isbaar Apple ne camere me bahot accha improvement kiya hai.

IPhone 8 me rear me 12MP camera laga hai, jisme Optical Image Stabilisation (OIS). IPhone 8 plus me dual rear camera hai, dono hi 12MP, OIS ke saatn hai.

Noise Reduction me pahle se jada improvement me ki gayi hai jiska matlab jada better aur clear image milegi.

Isbaar Apple me Video recording me bhi kafi improvement kiya hai. Yani ke 4K video ko 60 fps aur slow motion video ko 240 fps pe record kar sakte hai. Jo ki iPhone 7 me sirf 120 fps hi tha.

Front me 7MP ka selfie camera hai.

Battery


Jaisa Apple ne bataya ki iPhone 8, 2 hours jada chalega lekin abi tak ye confirm nhi hua hai ki kitne mAh ki battery hai.

IPhone 8 first iPhone hai jo wireless aur fast charging support karta hai.

IPhone 8 me Qi wireless support karta hai, jo ki bahot se cars, stores, restaurants, work places aur airports pe support karta hai. Yani ke aap apne phone ko yaha in place pe wireless charge kar sakte hai.

Agar aap ko ye artucal helpful/accha laga ho to please share kare.

Aisi hi aur bhi new update/Tips & Tricks ke liye follow kre NK Tech Guru ko...

Connect with us

Youtube

Facebook

Twitter

Blog

About : NK Tech Guru is a YouTube Channel, where you will find technological videos in Hindi,



Comments